Wednesday, May 13, 2009

Usko chaha bhi to izhaar na kerna aya
kat gayi umer humain pyar na kerna aya

samney aiya to Aadab-e-nazar bhool gaye
deed ke shouq main deedar na kerna aya

jab bhi dobey teri yadon k bhanwar main doobey
yeh woh derya hai jo humain paar na kerna aya

wafa kertey kertey humain saari umer beet gayi
mager tumhain ab bhi khud per aitebar na kerna aya

tum ney mangi bhi to sirf judaai mangi
aur hum thay ke inkaar na kerna aya.

درد کااظہار

حال دل